qismat apni aisi kachchi nikli hai

qismat apni aisi kachchi nikli hai
har mahfil se bas tanhai nikli hai

khat us ke jab aaj jalane baitha to
machis ki tili bhi sili nikli hai

shor-sharaba rahta tha jis aangan mein
aaj wahan se bas khamoshi nikli hai

bhuka bachcha dekha to in aankhon se
aansu ki phir ek nadi si nikli hai

apni surat ki parten jab kholin to
apni surat us ke jaisi nikli hai

main ne bhi dekha hai teri rahmat ko
tufanon se bach ke kashti nikli hai

dil tuta to 'mit' samajh mein ye aaya
ishq wafa sab ek paheli nikli hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close