qissa kitab-e-umr ka kya mukhtasar hua rukh dastan-e-gham ka idhar se udhar hua matam-sara-e-dahr mein kis kis ko roiye ai wae dard-e-dil na hua dard-e-sar hua taskin-e-dil ko raaz-e-khudi puchhta hai kya kahne ko kah dun aur agar ulta asar hua aazad ho saka na giraftar-e-shash-jahat dil muft banda-e-hawas-e-baal-o-par hua duniya ke sath din ki begar al-aman insan aadmi na hua jaanwar hua farda ka dhyan bandh ke kahta hai mujh se dil tu meri tarah kyun na wasi-un-nazar hua farda ko dur hi se hamara salam hai dil apna sham hi se charagh-e-sahar hua