qudrat ki adalat mein kanTon ki shikayat hai

qudrat ki adalat mein kanton ki shikayat hai
har bagh mein phulon ki fitrat mein raunat hai

samjha do farishton ko kis ki mujhe hasrat hai
hun jis ka tamannai nam us ka mohabbat hai

is darja mohabbat hai ek duje se donon ko
main us ki zarurat hun wo meri zarurat hai

ye kis ki itaat mein dil mera dukha baithe
taswir mein ja baithe ye kaisi shararat hai

wo zulf-e-pareshan bhi kya khub nazar aai
lahrae to baadal si bal khae qayamat hai

ab maula muhafiz hai nau-khez si kaliyon ka
phulon ki riyasat mein kanton ki hukumat hai

aalam mein jawani ke maghrur tha pahle to
kyun chand ko taron se ab itni shikayat hai

iqrar-e-wafa kar ke sina se lagaya jo
ye un ki mohabbat hai ye un ki inayat hai

hum hi to nahin tanha sab ishq ke mare hain
har dil pe chadhi dekho ulfat ki hararat hai

tafrih ko nikle hain hum shahr mein saj-dhaj ke
un ko jo shikayat hai itni si shikayat hai

ek til ke izafe ne barbaad kiya 'arman'
be-dam phanse aashiq ye husn ki fitrat hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close