qurb ke tasawwur se dosti bana dalen raat sa surur-afza din ko bhi bana dalen sath sath jine aur marne ki qasam kha kar pahli pahli chahat ko aakhiri bana dalen yaadon ke diye rakh kar ishq ke shabistan mein aao is andhere ko raushni bana dalen aashnai ko rang-e-ashiqi ata karke chaliye is takalluf ko dilbari bana dalen aur pas aa jaanan palkon ko utha jaanan aankhon ki ziyarat ko mai-kashi bana dalen us ki bewafai ka sog aakhirash kab tak kyon na ab har ek gham ko hum khushi bana dalen itne dhoke khae hain ab ye dil mein aata hai har shanasa chehre ko ajnabi bana dalen bazuon mein hum apne quwwat-e-amal rakh kar maut ke thapede ko zindagi bana dalen