qurb nas nas mein aag bharta hai

qurb nas nas mein aag bharta hai
wasl se iztirab badhta hai

main faqat ek khwab tha tera
khwab ko kaun yaad rakhta hai

aaj ki shab shab-e-qayamat hai
dil mera be-tarah dhadakta hai

faqr kya hai ba-dost pewastan
gham ka irfan hai aagahi kya hai

main milata hun sher-o-atish ko
fan mujhe kimiya ka aata hai

tosha-e-rah-e-ishq hai andoh
gham dilon ko qarib lata hai

sher-e-taza hai tohfa-e-shaer
mushk-e-nafa hiran ne ugla hai

qillat-e-kulfat-o-takalluf mein
rahat-e-qalb-e-na-shakeba hai

aish-e-na-paedar par nazan
aadmi kitna bhola-bhaala hai

jaan ka sarfa ho to ho lekin
sarf karne se ilm badhta hai

kise pas-e-maraatib-e-alfaz
hashr-e-mani se qatl barpa hai

pa ke ghafil kahin na das le tumhein
daro us se jo tum se darta hai

maqsad isbaat-e-zat hai us se
kya gale ka sabab bhi hota hai

sachche takhliq-kar ki manind
unghta hai khuda na sota hai

aab-o-rang-e-hayat hai us se
aarzu jagton ka sapna hai

mere maula-karim ne mujh ko
ghair-matbua zehn bakhsha hai

yun lage jaise parda-e-simin
aankh kya ruh ka daricha hai

kis ne dekha hai parda-e-zulmat
dil ke bhedon ko kis ne paya hai

kaun mar kar dobara zinda hua
kaun mulk-e-fana se lauta hai

kar ke yaksar mujhe nazar-andaz
kis se dil ham-kalam rahta hai

bawajud-e-fishaar-e-shab hama-shab
husn har subh taza hota hai

har bun-e-mu bana hai parda-e-saz
dil ke taron ko kis ne chheda hai

baat abdul-aziz-'khalid' ki
dastan-e-amir-hamza hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close