qurbaten badh gai nigahon ki ab haden khatm hain libason ki dhup roke khadi hai kis ke liye ye sar-e-rah qatar pedon ki aur phailega aag ka dariya aur jhulsegi khaal chehron ki khud-kushi ka safar bhi sahl nahin bhid si hai lagi sawalon ki kaun khud mein samo saka hai kabhi wusaten la-zawal lamhon ki kab se dohra raha hun main 'muztar' ek fahrist chand namon ki