raat aadhi hai baat puri hai tera milna bahut zaruri hai danw par hai wafa kinaron ki mauj ka lautna zaruri hai tujh se khushbu hai mere lafzon mein tere bin ye ghazal adhuri hai qurbaten hum bhi chahte hain magar darmiyan fasla zaruri hai pasdari to hai rawayyon mein par dilon mein abhi bhi duri hai