raat baghiche pe thi aur raushni patthar mein thi

raat baghiche pe thi aur raushni patthar mein thi
ek sahife ki tilawat zehn-e-paighambar mein thi

aadmi ki band mutthi mein sitara tha koi
ek jadui kahani subh ke mantar mein thi

ek rakhsh-e-sang tha aatish-kade ke samne
ek nili mom-batti dast-e-ahan-gar mein thi

bich mein soi hui thi aatish-e-aindagan
ek pairahan ki thandak dhup ki chadar mein thi

panw sakit ho gae 'sarwat' kisi ko dekh kar
ek kashish mahtab jaisi chehra-e-dilbar mein thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close