raat bhar aansu baha kar ye dupaTTa nam kiya

raat bhar aansu baha kar ye dupatta nam kiya
subh is ko hi nichoda pyas ko phir kam kiya

zakhm dil ke yunhi chhode ki jarahat bhi nahin
na hakimon se mili na zakhm par marham kiya

zindagi ke hath se mujh ko mili hai maut bhi
ek dafa mara nahin ye khel bhi paiham kiya

ashk-rezi ki tumhein aadat kabhi bhi thi nahin
aaj aisa kya hua jo aankh ko pur-nam kiya

ruh tab hi mar chuki thi chhod kar jab tum gae
jism ke marne pe tum ne aaj kyon matam kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close