raat-bhar rone ka din tha phir juda hone ka din tha fasl-e-gul aane ki shab thi khushbuen bone ka din tha tishnagi pine ki shab thi aabju hone ka din tha guftugu karne ki shab thi khamushi dhone ka din tha qafila chalne ki shab thi hadsa hone ka din tha raat ke jangal se aage chain se sone ka din tha