raat-din pur-shor sahil jaisa manzar mujh mein tha tum se pahle maujzan koi samundar mujh mein tha aaj teri yaad se takra ke tukde ho gaya wo jo sadiyon se ludhakta ek patthar mujh mein tha jite-ji sahn-e-mazar-e-dost tha mera wajud ek shikasta sa piyala aur kabutar mujh mein tha main kahan jata dikhane apne andar ka kamal jo kabhi mujh par na khul paya wo jauhar mujh mein tha dhundhta phirta hun us ko raat din khud mein 'hasan' wo jo kal tak mujh se bhi ek shakhs behtar mujh mein tha