raat hoti hai hasin chand jawan hota hai phir bhi is dil pe koi bar-e-garan hota hai ab bhi yaadon mein tera aks ayan hota hai jis tarah jhil ka sahra mein guman hota hai aaj bhi jalwa-gah-e-sang-dili hai duniya raqs to aaj bhi lashon ka yahan hota hai dekh lo jhank ke in aankhon mein gar dekh sako warna ye dard kahan lab se bayan hota hai main chala aaya magar ab bhi teri mahfil mein kya koi meri tarah tishna-dahan hota hai ab bhi ummid hai duniya to kabhi badlegi ab bhi aankhon mein koi khwab nihan hota hai aks-e-farda bhi dikha deta hai ahl-e-dil ko ashk-e-be-qadr jo aankhon se rawan hota hai aa hi jate hain tere wahshi pe wo bhi lamhe jab tera dard hi ek rahat-e-jaan hota hai aaiye apne qadam aage badhaen ki yahan band muflis pe dar-e-pir-e-mughan hota hai tera diwana sukun pata hai kyon kaun kahe jab mohabbat ka koi marsiyan-khwan hota hai log jab dhundte hain aish ke kuchh jalwe 'nadim' apni aankhon mein koi aur saman hota hai