raat ka nam sawera hi sahi aap kahte hain to aisa hi sahi kya burai hai agar dekh len hum zindagi ek tamasha hi sahi kuchh to kandhon pe liye hain hum log apne armanon ka lasha hi sahi pichhe hatna hamein manzur nahin samne aag ka dariya hi sahi kya zaruri hai ki main nam bhi lun mera dushman koi apna hi sahi aaina dekh ke dar jata hun aaina mera shanasa hi sahi mera qad aap se uncha hai bahut main 'hafiz' aap ka saya hi sahi