raat ka sannaTa ho aur raaz-dan koi na ho

raat ka sannata ho aur raaz-dan koi na ho
biwiyan tanha hi ghumen aur miyan koi na ho

mamlikat ko fikr-e-tamir-e-makan koi na ho
hon pade footpath pe sab aashiyan koi na ho

hai yahi ji mein ki hum sab khana-jangi mein maren
mulk pe mitne ki khatir khandan koi na ho

aapa-dhapi ki faza ho jo bhi chahe lut le
rahbar na-bina hon sab pasban koi na ho

aankh se dekha na jae aql par parda pade
wo kisi se bhi milen mujh ko guman koi na ho

jab hui ek ladki ighwa shaikh ne di bad-dua
is gali ka launda ya-rab ab jawan koi na ho

chaqu chhuriyan hall mein lane ke hum qail nahin
hai yahi kafi ki bas ab imtihan koi na ho

rishwaton ka khatm ho pae na koi silsila
c b i dhundhti ho par nishan koi na ho

bak gaya hai 'raaz' kya kya doston ke darmiyan
be-haya munh-phat aur aisa bad-zaban koi na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close