raat kitne na-tarashida guhar bhi laegi

raat kitne na-tarashida guhar bhi laegi
na-tarashida si zau lekin sahar bhi laegi

jagmaga utthenge shakhon par gulabon ke charagh
jab bahaar aai to apne baal-o-par bhi laegi

aaj tak laute nahin nadida shamon ke safir
jugnuon ki raushni un ki khabar bhi laegi

jab mili aawargi ko manzil-e-khud-agahi
dasht mein khoe huon ko apne ghar bhi laegi

khak se takhliq hogi aatish-o-ab-o-hawa
zindagi khud apna saman-e-safar bhi laegi

ta-ba-kai chhup kar karoge mera sar tan se juda
dekhna kal ki gawahi mera sar bhi laegi

jab bujhegi aag to apne hi naghmon se 'jamil'
zard aandhi barish-e-barq-o-sharar bhi laegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close