raat si nind hai mahtab utara jae ai khuda mujh mein zar-e-khwab utara jae kya zaruri hai ki naw ko bachane ke liye har musafir tah-e-girdab utara jae roz utarta hai samundar mein sulagta suraj kabhi sahra mein bhi talab utara jae sau charaghon ke jalane se kahin achchha hai ek sitara sar-e-mehrab utara jae pattharon mein bhi kai pech pade hain 'shahid' un pe bhi mausam-e-shadab utara jae