raat to bit chuki phir bhi nasha tari hai kya koi kashmakash-e-khwab-o-khabar jari hai kyon na sarshaar kare saz-e-khamoshi mujh ko mast hun jis se wo nashsha meri nadari hai bagh-e-imkan koi parda hai ki jis ke ojhal ek hi gul hai yahan jis ki mahak sari hai ek ziyan jaan ka hota to koi baat na thi us se milne mein kai tarah ki dushwari hai