raat us tunuk-mizaj se kuchh baat baDh gai

raat us tunuk-mizaj se kuchh baat badh gai
wo ruth kar gaya to ghazab raat badh gai

ye kahiyo ham-nashin mujhe kya kya na kah gae
main ghat gaya na aap ki kuchh zat badh gai

bose ke nam hi pe lage katne zaban
kitni amal se aage mukafat badh gai

chashmon se mere shahr mein tufan-e-girya hai
nadan jaante hain ki barsat badh gai

samjha tha main kamar hi talak zulf ka kamal
wo panw se bhi aage kai hat badh gai

aghyar se nahin hai sarokar yar ko
mere ba-raghm un pe inayat badh gai

be-tauriyon se us ki 'bayan' main to khinch raha
ghairon ki us ke sath mulaqat badh gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close