raaton ki sunsan sadak par chalte hain yaadon ke lashkar dekh na yun pichhe mud mud kar warna ho jaega patthar milti hai pairon ko taqat kha kar dekh kabhi tu thokar ghar hi be-ghari ye kab tak koi nai diwar naya dar qatl ka itna shor hua hai dekh raha hun khud ko chhu kar wasl chalo manzur hai yun bhi un ka patthar aur mera sar