raaz-e-dil dost ko suna baiThe

raaz-e-dil dost ko suna baithe
muft mein muddai bana baithe

anjuman hai teri tilism-e-rashk
aashna hain juda juda baithe

kasrat-e-sajda se pasheman hain
ki tera naqsh-e-pa mita baithe

kal jo taj-o-hasham ko chhod uthe
aaj wo tere dar pe aa baithe

ki hai aakhir ko nashta-shikni
dagh par dagh hum to kha baithe

tarz-e-saqi se dair ke sab log
kar rahe hain khuda khuda baithe

shakh-e-gul ki nazakaton se dare
bar the musht-e-par uda baithe

shikwa aashiq-kushi ka farz na tha
yaad ye kya unhen dila baithe

dard-e-sar thi dua mohabbat mein
hath hum jaan se utha baithe

ai qayamat tu uth ke puchh mizaj
hain wo kuchh aap hi khafa baithe

roe itne ki khun hui ummid
khud jahaz apna hum baha baithe

be-takalluf maqam-e-ulfat hai
dagh utthe ki aabla baithe

aasman dah pada uthe fitne
jis jagah le ke muddaa baithe

rasm-e-tazim-e-ishq to dekho
dard uttha ki ji mera baithe

ai 'qalaq' tum sa bad-dimagh hai kaun
charkh ki zid pe ghar luta baithe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close