raaz-e-dil fash kiya karte ho kya karte ho nam se mere haya karte ho kya karte ho roz iqrar-e-wafa karte ho kya karte ho zakhm-e-dil phir se hara karte ho kya karte ho tum se mansub hai ek ahd-e-wafa ka iqrar tum bhi tauhin-e-wafa karte ho kya karte ho shisha-e-dil ke baratne ka saliqa sikho tum to bas tod diya karte ho kya ho shauq ko pahle zara had se siwa hone do dard ko had se siwa karte ho kya karte ho ishwa-e-jaan-talabi morid-e-ilzam na ho mujh se kahte raho kya karte ho kya karte ho har ghadi us lab-e-shirin ka tasawwur 'akhgar' talkh jine ka maza karte ho kya karte ho