raaz-e-gham ifsha karun ya raaz rakkhun raaz mein hukm ho to kuchh sunaun aap ki aawaz mein tum ne hans kar farq dala hai ye soz-o-saz mein warna donon naghma-zan the ek hi aawaz mein jab ye samjha gham ka har anjam ek aaghaz hai main ne khud anjam shamil kar liya aaghaz mein main to achchha hun magar ai chaaragar ye to bata farq kyon mahsus karta hun teri aawaz mein ho chuki tarkib-e-naqus-o-azan na-kaamyab sochta hun ab pukarun kaunsi aawaz mein aap se jab aap ke 'shadan' ko nisbat hi nahin rabt kaisa hai ye us ki aap ki aawaz mein