raaz-o-niyaz-e-ishq ke qabil bana diya un ki nazar ne dil ko mere dil bana diya is malgaje libas pe aaraishen nisar tum ne to sadgi ko bhi qatil bana diya barq-o-sharar ko de ke tapish aur iztirab jo bach raha usi ko mera dil bana diya chaaragari ne aap ki chhu kar nigah se har aable ko dard bhara dil bana diya ab in tajalliyon ka ho kis taur se nufuz jin ko haya ne parda-e-hail bana diya dil ek musht-e-khak tha teri nigah ne mitti ko soz-e-ishq ke qabil bana diya tere zuhur-e-husn ne tahlil-e-nur ki ajza-e-muntashir ko mera dil bana diya aaghaz-e-rabt mein nigah-e-jaan-nawaz ne dil ko teri umid ke qabil bana diya aankhon ko intizar ki bedariyan milin soz-e-nafas ko garmi-e-mahfil bana diya fitrat ko hai gila ki mere iztirab ne hasil ko barq barq ko hasil bana diya jab shauq taza-dam tha to manzil bhi rah thi jab thak gae to rah ko manzil bana diya 'safdar' ye un ki fitna-khirami ko dekhiye phulon pe panw rakh ke unhen dil bana diya