raazi agar nahin hai wo mujh se khafa to hai goya kisi bahane sahi rabta to hai itna bhi sar pe chadhne se tufan baz aa taslim nakhuda nahin lekin khuda to hai un ki nazar ke phirne ka kuchh gham nahin mujhe qaem hasin yaadon ka ek silsila to hai wabastagi ka tujh se sila kuchh to chahiye khush hun ki soz-e-gham mein ye dil mubtala to hai