rabab-e-husn hai ya koi saz-e-ulfat hai samajh mein aa na saki dil ki jo haqiqat hai kuduraton se ye ahl-e-jahan ki haalat hai na ab dilon mein safai na rasm-e-ulfat hai mariz-e-hijr ki ab kuchh ajib haalat hai na hosh hi mein hai apne na khwab-e-ghaflat hai bane jo aur bigad jae hai meri taqdir bigad bigad ke bane jo adu ki qismat hai qadam qadam pe hain sahra ke khar daman-gir wafa ki rah mein har-gam par musibat hai zaban khulegi na mahshar mein samne un ke kare jo hashr mein fariyaad kis ki jurat hai gulon ka khul ke bikharna hai aaina gham ka chaman ka yun to har ek patta naqsh-e-ibrat hai bikhar raha hai kitab-e-jahan ka shiraaza qayamat aane se pahle ye kya qayamat hai simat ke aa gai pahlu mein kaenat-e-jahan samajh mein aa nahin sakti jo dil ki wusat hai ye zauq-e-sher-o-sukhan fitratan hai ai 'shoala' numud-o-nam ki khwahish na fikr-e-shohrat hai