radif qafiya bandish KHayal lafz-gari

radif qafiya bandish khayal lafz-gari
wo hur zina utarte hue sikhane lagi

kitab bab ghazal sher bait lafz huruf
khafif raqs se dil par ubhaare mast pari

kalam aruz taghazzul khayal zauq-e-jamal
badan ke jam ne alfaz ki surahi bhari

salis shusta murassa nafis naram rawan
daba ke danton mein aanchal ghazal uthai gai

qasida sher musaddas rubai nazm ghazal
mahakte honton ki tafsir hai bhali se bhali

majaz qaid muamma shabih istiqbaal
kisi se aankh milane mein adbiyat padhi

qarina sarqa ishaara kinaya ramz sawal
haya se jhukti nigahon mein jhankte the sabhi

bayan ilm-e-maani fasahat ilm-e-balagh
bayan kar nahin sakte kisi ki ek hansi

qayas qaid tanasub shabih saja nazir
kali ko chuma to jaise kali kali se mili

tarannum arz mukarrar sunaiye irshad
kisi ne suniye kaha bazm jhum jhum gai

huzur qibla janab aap dekhiye sahab
kisi ki shan mein goya lughat banai gai

harir atlas-o-kamkhwab pankhudi resham
kisi ke phul se talwon se shah-mat sabhi

gulab ambar-o-raihan motiya loban
kisi ki zulf-e-muattar mein sab ki khushbu mili

kisi ke marmarin aaine mein numayan hain
ghata bahaar dhanak chand phul dip kali

kisi ka ghamza sharabon se chur qaus-e-quzah
ada ghurur jawani surur ishwa-gari

kisi ke shirin-labon se udhaar lete hain
mithas shahd rutab chini qand misri dali

kisi ke nur ko chundhiya ke dekhen hairat se
charagh jugnu sharar aaftab phul jhadi

kisi ko chalta hua dekh len to chalte banen
ghazal morni maujen nujum abr ghadi

kisi ki madh-bhari aankhon ke aage kuchh bhi nahin
thakan sharab dawa gham khumar nim-shabi

kisi ke sath nahate hain tez barish mein
libas gajre ufuq aankh zulf hont hansi

kisi ka bhiga badan gul khilata hai akasr
gulab rani kanwal yasmin champa-kali

ba-shart-e-fal kisi khal par main warunga
chaman pahad daman dasht jhil khushki tari

ye jam chhalka ki aanchal bahaar ka dhalka
sharir shosha sharara shabab shar shokhi

kisi ki tursh-rui ka sabab yahi to nahin
achaar lemu anar aam tatri imli

kisi ke husn ko bin mange baj dete hain
wazir mir sipahi faqih zauq-e-shahi

nigahen chaar huin waqt hosh kho baitha
sadi dahai baras mah roz aaj abhi

wo ghuncha yakja hai chunki wara-e-fikr-o-khayal
palak na jhapken to dikhlaun patti patti abhi

siyah zulf ghata jal jadu jang jalal
fusun shabab shikaran sharab raat ghani

jabin charagh muqaddar kushada dhup sahar
ghurur qahr tajjub kamal nur bhari

zarif abru ghazab ghamza ghussa ghaur ghazal
ghamand qaus qaza ishq tanz nim sakhi

palak fasana shararat hijab tir dua
tamanna nind ishaara khumar sakht thaki

nazar ghazal mohabbat naqab jhil ajal
surur-e-ishq taqaddus fareb-e-amr-o-nahi

nafis nak nazakat siraat adl bahaar
jamil sutwan moattar latif khushbu rachi

gulabi gal shafaq seb surkhi ghaza kanwal
tilism chah bhanwar naz sharm narm-gari

do lab aqiq guhar pankhudi sharab-e-kuhan
laziz naram mulaem sharir bhigi kali

nashili thodi tabassum taraazu chah-e-zaqan
khamida khandan khajista khumar patli gali

gala surahi nawa git soz aah asar
tarang chikh tarannum tarana sur ki ladi

hatheli reshmi nazuk malai narm latif
hasin marmarin sandal safed dudh dhuli

kamar khayal matakti kali lachakta shabab
kaman tutti angdai hashr jaan-kani

pari ke paon gulabi gudaz raqs-parast
tadapti machhliyan mehrab-e-lab thirakti kali

janab dekha sarapa gulab marmar ka
abhi ye sher the sheron mein chand utra kabhi

ghazal huzur bas apne talak hi rakhiyega
wo ruth jaega mujh se jo us ki dhum machi

jhuka ke nazren koi bola iltimas-e-dua
utha ke hath wo khairaat-e-husn dene lagi

kashish se husn ki chanda mein uthe madd-o-jazr
kisi ko sans chadha sab ki sans phul gai

jo us pe bund giri abr kapkapa uttha
is ek lamhe mein kafi gharon pe bijli giri

qayamat aa gai khushbu ki kaliyan chikh padin
gulab bola nahin ghaaliban wo zulf khuli

tawaf karti hai masumiyat yun kamsin ka
ki qatl kar de adalat mein bhi to saf bari

badan pe hashiya likhna nigah par tafsir
muqallidin hain shokhi ke apni shaikh kai

tamam shahar mein sina-ba-sina phail gai
kisi ke bhige labon se waba-e-tishna-labi

gulab aur aisa ki tanha bahaar le aae
bahisht mein bhi hai gunjaan shokh gul ki gali

kamal-e-laila to dekho ki sirf nam liya
phir us ke baad charaghon mein raushni na rahi

gulabi aankhon mein aise bhanwar the masti ke
sharab dub ke un mein bahut halal lagi

jasarat aks pe lab rakhne ki nahin karte
bahut hua bhi to palkon se gudgudi kar di

na jaane pahli nazar kyun halal hoti hai
kisi ke husn pe pahli nazar hi mahngi padi

chaman mein phul na toden likha tha so hum ne
gulab-zadi ko pahna di titliyon ki ladi

kisi ka zulf ko lahra ke chalna uf tauba
sharab-e-nab azal ke nashe mein mast pari

wo bolta hai to kanon mein shahd gholta hai
mariz-e-qand pe qadghan hai us ko sunne ki

kali ko chhod ke naqsh-e-qadam pe baith gai
qalam hilae bina titli ne ghazal kah di

sanam aur aisa ki but us ke aage jhuk jaen
dua di us ne to do dewiyon ki god bhari

ata-e-husn thi 'qais' ek jhalak mein shokh ghazal
kitab likhta main us par magar wo phir na mili


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close