rafta rafta ban na jae pyar afsana tera dekh kar kahte hain mujh ko log diwana tera shama ki lau par hi jal jaana jise maqsud hai wo kahin kyon jaan bachae hat ke parwana tera hum tere dar se chale jaenge ek din na-murad kya kahega phir tujhe har apna begana tera pyar ki ek nind mithi apni aankhon mein liye baithe baithe dekhta hai khwab diwana tera phir kisi ke kaam aae ye to is qabil nahin rah gaya hai ban ke 'alam' dil ye kashana tera