rag-e-jaan mein sama jati ho jaanan tum itna yaad kyun aati ho jaanan tumhaare sae hai pahlu mein ab tak ki ja kar bhi kahan jati ho jaanan meri ninden uda rakkhi hain tum ne ye kaise khwab dikhlati ho jaanan kisi din dekhna mar jaunga main meri qasmen bahut khati ho jaanan wo sunta hun main apni dhadkanon se tum aankhon se jo kah jati ho jaanan paraya-pan nahin apnaiyat hai jo yun aankhen chura jati ho jaanan