rah bhola hun magar ye meri KHami to nahin

rah bhola hun magar ye meri khami to nahin
main kahin aur se aaya hun maqami to nahin

uncha lahja hai faqat zor-e-dalael ke liye
ai meri jaan ye meri talkh-kalami to nahin

un darakhton ko dua do ki jo raste mein na the
jaldi aane ka sabab tez-khirami to nahin

teri masnad pe koi aur nahin aa sakta
ye mera dil hai koi khali asami to nahin

main hama-waqt mohabbat mein pada rahta tha
phir kisi dost se puchha ye ghulami to nahin

bartari itni bhi apni na jata ai mere ishq
tu 'nadim'-o-'zaki' o 'kashif'-o-'kaami' to nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close