rah-e-be-saeban se koi rishta jod kar dekhun main apne shahr ki sari fasilen tod kar dekhun hawa ke rukh pe udte abr ko rokun bhala kaise jo rasta khushk hai to aabla hi phod kar dekhun tayyun to karun kis samt mein mujh ko bhatakna hai kisi ke sath ho lun ya kisi ko chhod kar dekhun tumhaara aks meri aankh par kyon khil nahin pata is aaine ke andar kya hai is ko tod kar dekhun mujhe lagta to hai main bhi kisi raste ki manzil hun zara ek zindagi ke zawiye ko mod kar dekhun