rah-e-hasti ke har ek mod se bach kar nikle ahl-e-danish se to diwane hi behtar nikle waqt ki tez hawaon ne ajab mod liya phul se hath jo the un mein bhi patthar nikle teri yaadon ke sahaare jo guzare hum ne wo hi lamhat faqat apna muqaddar nikle hum ne ghairon ke bhi ashkon ko liya daman par chahe khud gham ke samundar mein naha kar nikle un ki fariyaad ka aahon ka asar hoga apne hathon se jo ghar apna jala kar nikle gham zamane ki jafaon ka karen kya 'khalid' jab gareban hi kanton se saja kar nikle