rah-e-hayat mein aisa bhi haal hota hai khushi kisi ko kisi ko malal hota hai jo bant leta hai auron ka dard hans hans kar haqiqatan wo bashar ba-kamal hota hai ghurur karta hai nahaq tu apni hasti par uruj walon ka aksar zawal hota hai jo zulm sahta hai lekin zaban se kahta nahin us aadmi ka to jina muhaal hota hai sanbhal sanbhal ke main us ja pe panw rakhta hun jahan bhi apni ana ka sawal hota hai phate libas pe jo log hans rahe hain 'samar' bata do un ko ki guddi mein lal hota hai