rah-e-hayat mein dil-e-viran duhai de

rah-e-hayat mein dil-e-viran duhai de
dushman ko bhi khuda na gham-e-ashnai de

main sahib-e-qalam hun mujhe ai shuur-e-fan
aae na jo giraft mein aisi kalai de

duniya fareb-e-rishta-e-baham na de mujhe
jo bhai-chaargi ka ho paikar wo bhai de

main apna hath apne lahu mein dubo na lun
jab tak wo mere hath mein dast-e-hinai de

khanjar hai jis ke hath mein patthar hai jis ka dil
kya us ke samne koi apni safai de

jis par mere lahu ne sajaya tha naqsh-e-dil
ai kash phir mujhe wo hatheli dikhai de

is taza karbala mein bhi yarab dua ye hai
isar ko nasheb wafa ko tarai de

duri qarin-e-maslahat-e-waqt hai agar
qurbat ke nam par mujhe dagh-e-judai de

sehn-e-chaman mein gosh-bar-awaz hai 'saba'
shayad dil-e-shamim ki dhadkan sunai de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close