rah-e-hayat mein koi charagh hi na mila

rah-e-hayat mein koi charagh hi na mila
kisi dimagh se apna dimagh hi na mila

gham-e-zamana se fursat to mil bhi sakti thi
tumhaari yaad se lekin faragh hi na mila

sila-e-khas ki lazzat ko umr-bhar tarse
ki un ke hath se koi ayagh hi na mila

ba-juz latafat ehsas-e-justuju dil mein
nigar-e-rafta ka koi suragh hi na mila

tum us se puchhte ho lazzat-e-gham-e-hijran
gham-e-hayat se jis ko faragh hi na mila

bas ab ye khun-e-tamanna ho nazr-e-virana
talash thi hamein jis ki wo bagh hi na mila

tumhi batao ki aise mein kya banate ghar
ki ghar ke waste koi charagh hi na mila

har ek shakhs se hans kar mile jo hum 'nuri'
hamare sine mein duniya ko dagh hi na mila


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close