rah-e-khizan mein talash-e-bahaar karte rahe shab-e-siyah se talab husn-e-yar karte rahe khayal-e-yar kabhi zikr-e-yar karte rahe isi mataa pe hum rozgar karte rahe nahin shikayat-e-hijran ki is wasile se hum un se rishta-e-dil ustuwar karte rahe wo din ki koi bhi jab wajh-e-intizar na thi hum un mein tera siwa intizar karte rahe hum apne raaz pe nazan the sharmsar na the har ek se sukhan-e-raaz-dar karte rahe ziya-e-bazm-e-jahan bar bar mand hui hadis-e-shola-rukhan bar bar karte rahe unhin ke faiz se bazar-e-aql raushan hai jo gah gah junun ikhtiyar karte rahe