rah-e-suluk mein bal dalne pe rahta hai lahu ka khel khalal dalne pe rahta hai ye dekhta nahin buniyaad mein hain haddiyan kya har ek apna mahal dalne pe rahta hai muhim pe roz nikalta hai tajir-e-barud aur ek khauf-e-ajal dalne pe rahta hai aur ek hath milata hai zahr pani mein aur ek hath kanwal dalne pe rahta hai aur ek hath khilata hai shakh par konpal aur ek hath masal dalne pe rahta hai aur ek hath uthata hai parcham-e-awaz aur ek hath kuchal dalne pe rahta hai aur ek hath badhata hai irtiqa ka sarup aur ek hath badal dalne pe rahta hai sab ek radd-e-amal ka amal hai aur nahin jo ek radd-e-amal dalne pe rahta hai rujua la-mutazalzal hai jo masail ka dimagh mein koi hal dalne pe rahta hai hum apna radd-o-badal dal dete hain us mein wo apna radd-o-badal dalne pe rahta hai miyan-e-sabit-o-sayyar irtikaz mera abad ke bich azal dalne pe rahta hai ye subh-o-sham pe phaila hua mera hona ye mere aaj mein kal dalne pe rahta hai har ek rahguzar se guzarta hai suraj aur ek shua-e-atal dalne pe rahta hai pasand aate nahin sidhe-sadhe log use wo apne mathe pe bil dalne pe rahta hai rawish koi bhi ziyaada use nahin bhati wo apna aap badal dalne pe rahta hai 'nawed' tair-e-lahauti ka junun to nahin jo dal dal pe phal dalne pe rahta hai