rah-e-talab mein aaj ye kya moajaza hua khwab-e-adam mein jo bhi gaya jagta hua maidan mein haar jit ka yun faisla hua duniya thi un ke sath hamara khuda hua barson ki dosti ka chalan kya se kya hua kis munh se hum milenge agar samna hua sadiyon ka dard waqt ki aawaz ban gaya phir se bapa wo marka-e-karbala hua laya hai rang khun-e-shahidan ba-faiz-e-shauq nazron ke samne hai gulistan khila hua patthar bane hue the zaban de gaya hamein ehsas ki ragon mein lahu bolta hua rahen simat simat ke nigahon mein aa gain jo bhi qadam utha wahi manzil-numa hua aankhon mein mishalen hain firozan dawam ki dil mein hai teri yaad ka kanta chubha hua tu manzil-e-hayat se aage nikal gaya main aa raha hun tera pata puchhta hua jaan nazr ki to donon jahan mil gae hamein tai marg o zindagi ka har ek marhala hua yun dil mein aaj nur ki barish hui 'jamil' jaise koi charagh jala de bujha hua