rah-e-ulfat mein maqamat purane aae tum na aae to mujhe yaad fasane aae waqt-e-rukhsat na diya sath zaban ne lekin ashk ban kar meri aankhon mein tarane aae raat ke waqt har ek samt the naqli suraj sae the asl jo kirdar nibhane aae waqt aata hi nahin laut ke ye baat hai jhut meri aankhon mein kai guzre zamane aae zindagi haar gai haar ka matam na kiya aise lamhat to kitne hi na jaane aae ghar mera jal gaya lekin ye tasalli hai mujhe aag jo de ke gae aag bujhane aae