rah gaya par wo tere chaak garebanon ka hashr mein koi bhi pursan nahin diwanon ka rah chalte hui hai daulat-e-didar nasib is mein ehsan nahin aap ke darbanon ka yaad aati hain junun-khez hawaen un ki ab na wo hum hain na aalam wo bayabanon ka are diwane zara chal ke unhen dekh to le mai-kadon mein hai maza shaikh pari-khanon ka but khuda hun ki na hun hai magar itni tauqir but-kada aaj bhi kaba hai musalmanon ka chashm-e-saqi ki tarah hai asar-andaz ai shaikh baad tauba ke chhalakna bhare paimanon ka chutkiyan aap na len mehndi lage hathon se kaam denge na ye nakhun kabhi paikanon ka qaht jae bhi magar ye nahin jaane ke 'riyaz' ki mere ghar hai ijara mere mehmanon ka