rahat kahan nasib thi jo ab kahin nahin wo aasman nahin hai ki ab wo zamin nahin ho josh sidq-e-dil mein to rahat baghal mein ho qaem ye aasman rahe ya zamin nahin hubb-e-watan ko himmat-e-mardana chahiye darkar aah sina-e-andoh-gin nahin khun-e-dil-o-jigar se ise sinch ai aziz kisht-e-watan hai ye koi kisht-e-jawin nahin haq-goi ki sada thi na rukni na ruk saki kab war ki sinanen galon mein chubhin nahin dagh-e-gham-e-watan hai nishan-e-aziz-e-khalq dil par na jis ka naqsh ho ye wo nagin nahin jang-e-watan mein sidq ke hathiyar ka hai kaam darkar is mein aslaha-e-ahin nahin ghar-bar tera par tu kisi chiz ko na chhed ye baat to harifon ki kuchh dil-nashin nahin jis baat par aziz ade hain ade rahen kahne den un ko unche gale se nahin nahin kya jaane dil jigar ko mere jo ye kah gaya daman bhi tar tar nahin aastin nahin mabud hai watan hun parastar usi ka main dair o haram mein jo jhuke ye wo jabin nahin 'kaifi' isi se khairiyat-e-hind mein hai der hubb-e-watan ka josh kahin hai kahin nahin