rahbar tera sitara na rahe justuju aisi khudara na rahe jo na ek duje ka ho hum mein guman hum mein phir kuchh bhi hamara na rahe jism hi jism ho aur ruh na ho wasl wo mujh ko gawara na rahe muntazir ho na teri aankhen to meri kashti ka kinara na rahe pyar aankhon se chhalakta hi hai dil ke paimane mein sara na rahe aur kuchh kam ho to phir kya kam hai pyar kam ho to guzara na rahe phunk maro ye ubhar aaega rakh mein dab ke sharara na rahe kya sambhalne ka maza aae jo teri bahon ka sahaara na rahe rah chuka pas tere jo ab to dil mere pas dobara na rahe