rahe hamare liye shaghl yan koi na koi

rahe hamare liye shaghl yan koi na koi
daya kare hamein gham aasman koi na koi

ab is mein hazrat-e-zahid hon ya barahman ho
buton ki chumta hai aastan koi na koi

kabhi uthate hain dil par kabhi jigar par dagh
khula hi rakhte hain hum bostan koi na koi

bura samajh mere aamal ko na ai waiz
hai is mataa ka bhi qadr-dan koi na koi

jo dagmagae lahad par meri to farmaya
zarur dafn hai betab yan koi na koi

ab is mein ho dil-e-betab ya ho dida-e-tar
karega raaz-e-mohabbat ayan koi na koi

kabhi hai tis jigar mein kabhi hai dil mein dard
shab-e-firaq hai aazar-e-jaan koi na koi

hamari aata sharar-bar ho ki nala-e-gar
jalaega tujhe o aasman koi na koi

wo khud hi aaenge ab ya mujhe bulaenge
asar dikhaegi aah-o-fughan koi na koi

'fahim' wasl ka arman ho ya ki hijr ka gham
hamare dil mein raha mehman koi na koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close