rahe na ek bhi bedad-gar sitam baqi ruke na hath abhi tak hai dam mein dam baqi utha dui ka jo parda hamari aankhon se to kabe mein bhi raha bas wahi sanam baqi bula lo baalin pe hasrat na dil mein mere rahe abhi talak to hai tan mein hamare dam baqi lahad pe aaenge aur phul bhi uthaenge ye ranj hai ki na us waqt honge hum baqi ye chaar din ke tamashe hain aah duniya ke raha jahan mein sikandar na aur na jam baqi tum aao tar se marqad pe hum qadam chumen faqat yahi hai tamanna teri qasam baqi 'rasa' ye ranj uthaya firaq mein tere rahe jahan mein na aakhir ko aah hum baqi