rahen dhuan dhuan hain safar gard gard hai ye manzil-e-murad to bas dard dard hai apne padosiyon ko bhi pahchanta nahin mahsur apne khol mein ab fard fard hai is mausam-e-bahaar mein ai baghban bata chehra har ek phul ka kyun zard zard hai laffaziyon ka garm hai bazar kis qadar dast-e-amal hamara magar sard sard hai kaisa tazad shakh-e-tamanna mein hai 'asad' khud ye hari hari hai samar zard zard hai