rahi marzi bas us ki hi jise jaisa bana dala kabhi jo taj tha sar ka use kasa bana dala banai bhi zamin us ne to ek jaisi nahin ye bhi kahin sahra kahin jangal kahin dariya bana dala hum aison ko bana kar ke khuda ukta gaya tha phir teri aankhen bana dalin tera chehra bana dala banana tha use dariya sanbhaale ek sahil ko to ek tujh sa bana dala phir ek mujh sa bana dala