rahon mein kaun aaya-gaya kuchh pata nahin

rahon mein kaun aaya-gaya kuchh pata nahin
us ko talash karta rahe jo mila nahin

be-as khidkiyan hain sitare udas hain
aankhon mein aaj nind ka koson pata nahin

main chup raha to aur ghalat-fahmiyan badhin
wo bhi suna hai us ne jo main ne kaha nahin

dil mein usi tarah se hai bachpan ki ek yaad
shayad abhi kali ko hawa ne chhua nahin

chehre pe aansuon ne likhi hain kahaniyan
aaina dekhne ka mujhe hausla nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close