rahta hai hamesha jo meri yar baghal mein

rahta hai hamesha jo meri yar baghal mein
jalte hain use dekh ke aghyar baghal mein

kya lutf ho gar aish ke saman baham hon
mashuq bhi ho shokh-e-trahdar baghal mein

har waqt jo aaghosh mein rahta tha hamari
ab us ko liye phirte hain aghyar baghal mein

kis tarah main samjhun ki wo karte hain mohabbat
aate nahin bhule se bhi ek bar baghal mein

mai-noshi ka jab haz hai ki ho bar-lab-e-dariya
saghar ho agar hath mein to yar baghal mein

sab mit gai 'hajir' shab-e-furqat ki musibat
khub us ko daba kar jo kiya pyar baghal mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close