rahta hai itna paon ke til ka asar sawar

rahta hai itna paon ke til ka asar sawar
sar par hai ghar pahunchte hi agla safar sawar

main chikhta raha ki nahin khat ye mere nam
lekin hawa ke ghode pe tha nama-bar sawar

milta nahin hai dasht-nawardi mein ab wo lutf
rahne laga hai zehn pe ghar is qadar sawar

kis chiz ki na-jaane zarurat kahan pade
kar lun na apne sath sawari mein ghar sawar

rakib ko ek bar gira de jo rakhsh-e-umr
mumkin nahin wo is pe ho bar-e-digar sawar

ye ishq ka nasha to utarta nahin kabhi
'basir' yunhi rahega ye aasab par sawar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close