rahte kya manus-e-jaan bhi ab wo hum mein dam nahin ab tawaf-e-ku-e-jaanan ko bhi jate hum nahin puchhte bhi hain ilaj is dard ka ek ek se hum mukhlisi aazar-e-gham se chahte bhi hum nahin ho pilai sab ko hi pir-e-mughan ne to kahin tishnagi sairab hogi kahte lekin hum nahin samna hai gardish-e-dauran se apna to bhi kya lakh hon us ke kisi chakkar se darte hum nahin roab bhi lete hain sar aankhon pe ahl-e-husn ka ho unhin ka naz-e-beja to uthate hum nahin sar mera kata magar dastar sar par rahne di mere qatil ka mere upar karam ye kam nahin dushmani kina hasad aur nafraten to hain magar jazba-e-insaniyat hi dil mein rakhte hum nahin dena padta hai use ab khun bahane ka hisab ab kisi tegh-o-tabar mein pahle jaisa dam nahin is liye mail nahin 'panchhi' ba-aish-e-zist hum us ka jo anjam hoga ghafil us se hum nahin