rahzan nahin harif nahin ham-safar nahin

rahzan nahin harif nahin ham-safar nahin
rah-e-talab mein ahl-e-hawas ka guzar nahin

aain-e-bazm-e-dahr se tu be-khabar nahin
lekin khuda ka shukr ki main kam-nazar nahin

husn-e-nigah-o-kam-nazari mein ye farq hai
sab ba-hunar hain aur koi ba-hunar nahin

nashr-e-jafa-o-jaur bhi hai ek ada-e-khas
husn-e-nigah-e-lutf se main be-khabar nahin

nazan hain apni himmat-o-jurat pe rah-rau
isar-e-rahnuma pe kisi ki nazar nahin

saqi ki ek baat hai tafsir-e-kaenat
tu kam-nazar nahin to koi kam-nazar nahin

apne khulus par hai mujhe 'raaz' e'timad
nashtar-zani se ghair ki main be-khabar nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close